Sunday, July 11, 2010

Dhalta din

Suraj ko chupta dekhkar, pani mein bhujta dekhkar,
Mann mein hulchul si ho gayi, subah ko dhalta dekhkar.
Panchi ghar ko janne lage, patte bhi murjhane lage,
sharma ke dhupp bhi dhal gayi,chanda ko uggta dekhkar.

Sunsan galiyaan jag si gayi, bachoon ke nanhe kadmon se,
Mausam bhi mastaan ho utha,shamma ko jalta dekhkar.
Lehron mein raftaar aa gayi, dil mein umaang si chaa gayi,
Kehne ko din toh dhal gaya, par rangeen shaam hai aa gayi.

Milne ki khushiyon se ghuli, chehre pe kai muskaane hain,
kisne kaha umeed ka daman bus bhor hi thame hai.
Sapno ki raah dekhti, aankhon ko rahat mil gayi,
bechain dhadkan tham gayi, tumko ghar aata dekhkar.